Bada khoobsurat hai ye safar ameerzadon ke liye,
Ghar pe apne parivaar ke sath baith ke meethi yaadien banane ke liye.
Kisi din inkaa mann karta hai mauj masti ka mahol banane kaa,
Bina ek chavvani inn dino kamaye baithe baithe paisey udaane ka.
Bimari toh bass inke liye hai,
Khatraa bass inke jaan pe hai!
Sarkaar har ek kaida aur neeyam logon pe laga rahi hai bass yeh ameerzadon ko madhyanazar rakhtey hue,
Suvidha toh kafi ailaan kiye hai sarkaar ne koi gareeb nazar aya nahi iss suvidha ko istemaal karte hue.
Sarkaar ne bass wadien kiye aur nibhaye Sonu Sood ne,
Aam aadmi jiski kamayi theek thaak thi,
Aaj usi admi ko haath failane padhrahe hai duniya walon ke samne.
Jo log roub jamaya karte the aaj woh tak aaye hai raaste pe,
Insaaniyat toh khatam hotey jaarahi hai afat, tabhayi mach rahi hai kone-kone mein!
Humare karmo ka hi phal hai ye,
Humari khoti niyat ka hi toh natijaa hai ye.
Itna sab kuch hone ke baad bhi hum insaan mein itni himmat hai ki hum ilzaam lagarahe hai ekdusre pe!
Hum itne masroof hai muslim, hindu, sikh aur isayi karne mein ki, humein ye tak khabar nahi jo thodi bhut hawa aud barish milrahi hai ye janwar humein bheek mein dey rahe hai,
Khuda ye hawa aur barish hum neech insaan pe nahi inn nek janwar pe barsa rahe hai.
Maafi khuda se phele apne rishteydaar se maanglena,
Chaar niwale purey tum khaane se phele do niwale pados mein baant lena.
Kya pata yeh mamuli kaam hi sab kuch theek hone ki wajah banjaye,
Khuda ko firse hum insaan pe tarras aaa jaye.
Kyaa pata yahi saaf niyat se, humein jannat naseeb ho jaye!
– Q. Choudhary.





















